din mein is tarah mere dil mein samaya suraj raat aankhon ke ufuq par ubhar aaya suraj apni to raat bhi jalte hi kati din ki tarah raat ko so to gaya din ka sataya suraj subh nikla kisi dulhan ki damak rukh pe liye sham duba kisi bewa sa bujhaya suraj raat ko main mera saya the ikatthe donon le gaya chhin ke din ko mera saya suraj din guzarta na tha kam-bakht ka tanha jalte wadi-e-shab se mujhe dhund ke laya suraj tu ne jis din se mujhe saunp diya zulmat ko tab se din mein bhi na mujh ko nazar aaya suraj aasman ek sulagta hua sahra hai jahan dhundhta phirta hai khud apna hi saya suraj din ko jis ne hamein nezon pe chadhae rakkha shab ko hum ne wahi palkon pe sulaya suraj