din ne itna jo marizana bana rakkha hai raat ko hum ne shifa-khana bana rakkha hai intiqam aisa liya hai meri tanhai ne shahr ka shahr bayabana bana rakkha hai khak ka khana gharibana-badan hai ki jise raunaq-e-ishq ne shahana bana rakkha hai hum ko malum hai khub apni haqiqat so use usi unwan ka afsana bana rakkha hai mubtazil hone ka aap apna maza hai warna hum ne bhi khud ko hakimana bana rakkha hai aadmi ho ki khuda sab ka barabar hai wazn ishq ne ek hi paimana bana rakkha hai chaak kar kar ke hue tang to diwanon ne chaak ko ab ke garibana bana rakkha hai 'farhatullah' hai wo aql ka putla jis ne farhat-ehsas ko diwana bana rakkha hai