ye silsila-e-sham-o-sahar yunhi nahin hai har qafila sargarm-e-safar yunhi nahin hai hangame bapa karti hai har aan teri yaad pur-shor dil-o-jaan ka nagar yunhi nahin hai tarikh suna sakti hai sadiyon ke safar ki ye gard sar-e-rahguzar yunhi nahin hai ubhrega yaqinan koi dam mein koi suraj betabi-e-arbab-e-nazar yunhi nahin hai manzil bhi koi khas milegi hamein 'ruhi' dushwar se dushwar safar yunhi nahin hai