karenge shikwa-e-jaur-o-jafa dil khol kar apna

karenge shikwa-e-jaur-o-jafa dil khol kar apna
ki ye maidan-e-mahshar hai na ghar un ka na ghar apna

makan dekha kiye mud mud ke ta-hadd-e-nazar apna
jo bas chalta to le aate qafas mein ghar ka ghar apna

bahe jab aankh se aansu badha soz-e-jigar apna
hamesha meinh baraste mein jala karta hai ghar apna

pasina ashk hasrat be-qarari aakhiri hichki
ikattha kar raha hun aaj saman-e-safar apna

ye shab ka khwab ya-rab fasl-e-gul mein sach na ho jae
qafas ke samne jalte hue dekha hai ghar apna

dam-e-akhir ilaj-e-soz-e-gham kahne ki baaten hain
mera rasta na roken rasta len chaara-gar apna

nishanat-e-jabin josh-e-aqidat khud bata denge
na puchho mujh se sajde ja ke dekho sang-e-dar apna

jawab-e-khat ka un ke samne kab hosh rahta hai
batate hain pata mere bajae nama-bar apna

mujhe ai qabr duniya chain se rahne nahin deti
chala aaya hun itni baat par ghar chhod kar apna

shikan-alud bistar har shikan par khun ke dhabbe
ye haal-e-sham-e-gham likkha hai hum ne ta-sahar apna

yahi tir-e-nazar to hain mere dil mein hasinon ke
jo pahchano to lo pahchan lo tir-e-nazar apna

'qamar' un ko na aana tha na aae subh hone tak
shab-e-wada sajate hi rahe ghar raat bhar apna

zamin mujh se munawwar aasman raushan mere dam se
khuda ke fazl se donon jagah qabza 'qamar' apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close