din nikalta hai to saman-e-safar dhundte hain raat padti hai to hum apni khabar dhundte hain rabta kuchh to rahe ruh ka patal ke sath aaj hum bhi teri aankhon mein bhanwar dhundte hain koi khushbu na yahan anjum-o-mahtab ki zau in gharon se bahut aage hai jo ghar dhundte hain ishq se dad-talab hain ki hum aawara-manash dar mein diwar na diwar mein dar dhundte hain kyun judai ke mah-o-sal mein badle tu ne aa mohabbat ke wahi sham-o-sahar dhundte hain wo jo ab sarhad-e-imkan se pare rahta hai kab wo 'jafar' hamein milta hai magar dhundte hain