hawa ka shor sada-e-sahab mere liye jahan-e-jabr ka har iztirab mere liye sulagta jata hun main aur padhta jata hun khula pada hai zamane ka bab mere liye main muntazir tha jahan par gulab khilne ka wahin pareshan thi bu-e-gulab mere liye ye meri umr ki shab ye udi hui ninden na koi khwab na afsun-e-khwab mere liye tabah kar diya ahde-jawan ki baaton ne shabab is ke liye tha sharab mere liye jahan hai nashsha-e-khwab-e-sahar mein khoya hua hai sar pe aaya hua aaftab mere liye raha hai dhyan mein ek jism chand sa 'jafar' hui wahan hai shab-e-mahtab mere liye