ek khwab ko aankhen rehn rakhen ek shauq mein dil viran kiya jine ki tamanna mein hum ne marne ka sabhi saman kiya hum khak udate phirte hain is dasht-e-talab mein phir ek din iqlim-e-junun us ne bakhshi aur dil ka hamein sultan kiya kya kahiye karishma-saz the kya aaghaz-e-mohabbat ke wo din jab khud se bhi hum hairan hue us ne bhi bahut hairan kiya ab hijr ka mausam aa pahuncha hum jaan gae the jab dil mein ek dard ne dera dal liya ek dukh ne bayan imkan kiya ek umr se chup tha dil dariya ek roz magar phir umad pada tan man sab jis mein dub gae har mauj ne wo tufan kiya