nahin band-e-qaba mein tan hamara hai uryani hi pairahan hamara rakhen apne tain hum kis tarah dost ho tujh sa shakhs jab dushman hamara hain ye kahida hum gham se ki jun shama hai ek ab jeb aur daman hamara nazar mein kaba kya thahre ki yan dair raha hai muddaton maskan hamara chaman mein gar hai tu bulbul to min-baad hain hum aur gosha-e-gulkhan hamara hawas se hum kiya tha ishq awwal wahi aakhir ko thahra fan hamara bahaar-e-dagh thi jab dil pe 'qaem' ajab sarsabz tha gulshan hamara