din se bichhdi hui baraat liye phirti hai chand taron ko kahan raat liye phirti hai ye kahin us ke mazalim ka mudawa hi na ho ye jo patton ko hawa sath liye phirti hai chalte chalte hi sahi baat to kar li jae hum ko duniya mein yahi baat liye phirti hai lamha lamha teri furqat mein pighalti hui umr garmi-e-shauq-e-mulaqat liye phirti hai warna hum shahr-e-gul-azar mein kab aate the ye to hum ko bhari-barsat liye phirti hai jis taraf se main guzarta bhi nahin tha pahle ab wahin gardish-e-haalat liye phirti hai