dini hain sab koi raati nahin hai andheron ka koi sathi nahin hai to kya be-khwab hi rah jaunga main mujhe to nind hi aati nahin hai ki har bimar un aankhon se dawa pae shifa-khana ye khairaati nahin hai laga hai kitna sarmaya zaban ka ye kar-e-shairi zati nahin hai tarashi ja chuki ummid ki lau diya jalta hua baati nahin hai sada jati to hai us ki gali mein wahan se le ke kuchh aati nahin hai akele pad gae hum karwan mein ki ab ke wo mera sathi nahin hai lage hain sare sazinde badan ke magar ye ruh naghmati nahin hai rahega be-badan hi 'farhat-ehsas' hawa par koi deh aati nahin hai