yun aaj apne-ap se uljha hua hun main jaise ki khud nahin hun koi dusra hun main zehn aur dil mein chhed gaya koi sard jang ek sail-e-kashmakash ke muqabil khada hun main aa jae samne koi mear to tera ye soch kar nigah se akasr gira hun main khud ko to kho ke tujh ko nahin pa saka magar khoya tujhe to jaane kise pa gaya hun main yun to hun ek lafz hi main bhi lughat ka mafhum ke lihaz se sab se juda hun main