karte bhi kya huzur na jab apne ghar mile dushman se hum kabhi na mile the magar mile bulbul pe aisi barq giri aandhiyon ke sath ghar ka pata chala na kahin baal-o-par mile un se hamein nigah-e-karam ki umid kya aankhen nikal len jo nazar se nazar mile wada ghalat pate bhi batae hue ghalat tum apne ghar mile na raqibon ke ghar mile afsos hai yahi mujhe fasl-e-bahaar mein mera chaman ho aur mujhi ko na ghar mile chaaron taraf hai sham-e-mohabbat ki raushni parwane dhund dhund ke lai jidhar mile