zindagi se ho mafar mumkin nahin

zindagi se ho mafar mumkin nahin
lakh chaho tum magar mumkin nahin

dusron ke waste saya to hai
zer-e-saya ho shajar mumkin nahin

zindagi mein aise wo shamil hua
us ke bin ab ye safar mumkin nahin

aagahi ho aur sukun-e-qalb se
umr ho jae basar mumkin nahin

ishq se daman bacha kar hi chalo
jaan se jaana agar mumkin nahin

rah-e-haq mein lakh patthar aaenge
saf ho us ki dagar mumkin nahin

'tahira' us sang-dil ko chhod de
zindagi mein sabr gar mumkin nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close