rang-e-gul aur laga mauj-e-saba aur lagi

rang-e-gul aur laga mauj-e-saba aur lagi
kis ke aane se gulistan ki faza aur lagi

aaj mail hai wo ikram-o-inayat pe kya
kyun hamein kucha-e-jaanan ki hawa aur lagi

ladkhadane pe kise raqs ka hota hai guman
fasl-e-gul aai to phir laghzish-e-pa aur lagi

dil dhadakne ke hain aadab magar tere huzur
jaane kyun sine mein dhadkan ki ada aur lagi

kis tarah kahta koi tujh ko sitamgar ai dost
sach to ye hai ki hamein teri jafa aur lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close