ek dasht-e-be-aman ka safar hai chale-chalo rukne mein jaan o dil ka zarar hai chale-chalo hukkaam o sareqin ki go rah-guzar hai ghar phir bhi barae-bait to dar hai chale--chalo masjid ho madrasa ho ki majlis ki mai-kada mahfuz shar se kuchh hai to ghar hai chale-chalo zulmat hai yan bhi wan bhi andhere hi hon to kya nur ek wara-e-hadd-e-nazar hai chale-chalo utra kinar-e-bahr-e-atsh ek qafila khatm us pe tishnagi ka safar hai chale-chalo sar tak pahunch na jae koi tez-gam lahar yan khun ki mauj ta-ba-kamar hai chale-chalo jaan ke ziyan ka dar hai talab mein agar to ho tark-e-talab mein bhi to khatar hai chale-chalo