diwar ke hue to kabhi dar ke ho gae mere charagh baad-e-sitamgar ke ho gae main is tarah se kucha-e-wahshat ki ho gai mallah jis tarah se samundar ke ho gae us ke dil-o-nigah ka kis se karen gila us ke dil-o-nigah to patthar ke ho gae jo mujh ko chahte the kabhi sar se panw tak dushman na jaane kyun wo mere sar ke ho gae jo tere pairahan ki mahak le ke aai thi hum to usi hawa-e-moattar ke ho gae main teri khushbuon ki talabgar jab hui tere chaman ke phul bhi patthar ke ho gae ye kaisi gardishen hain ki arz-o-sama pe aaj shams-o-qamar charagh barabar ke ho gae kheme jale charagh bujhe aur is ke baad nezon pe sar-buland bahattar ke ho gae barish ko baadalon ko samundar ko chhod kar 'afroz' hum to saqi-e-kausar ke ho gae