mar-mite jab se hum us dushman-e-din par sahab panw tikte hi nahin apne zamin par sahab khush-gumani ka ye aalam hai ki har baat ke bich han ka dhoka ho hamein us ki nahin par sahab takht yaron ko hai gham shah ki mazuli ka aur fida bhi hain nae takht-nashin par sahab hum to ek sanwli surat hai jise chahte hain aap mar jaen kisi mah-jabin par sahab husn rangon ke tasadum se jila pata hai jaise ek khal kisi ru-e-hasin par sahab hum wo majruh-e-ziyarat ki sar-e-mahfil bhi aankh rakhte hain usi parda-nashin par sahab