diwar-o-dar mein gham ka tamasha to hai abhi wo khud nahin pa us ka bulawa to hai abhi manus ho chali hai udasi se zindagi panw ke aablon ka nazara to hai abhi sach hai ki zahr-e-ishq talattuf gurez tha chingariyon ne warna pukara to hai abhi khwabon ko dar-ba-dar hi rakha tha nasib ne aashuftagi mein jaan ka khasara to hai abhi malum hai ki kuchh bhi nahin dasht-e-zist mein ummid-e-khwab hi pe guzara to hai abhi rukhsat shab-e-firaq bahut sah liya tujhe hamraaz garche khwab sitara to hai abhi be-tabiyan samet ke puchha kare hai dil qismat mein apni subh ka tara to hai abhi