karta kuchh aur hai wo dikhata kuchh aur hai dar-asl silsila pas-e-parda kuchh aur hai har-dam taghayyuraat ki zad mein hai kaenat dekhen palak jhapak ke to naqsha kuchh aur hai jo kuchh nigah mein hai haqiqat mein wo nahin jo tere samne hai tamasha kuchh aur hai rakh wadi-e-junun mein qadam phunk phunk kar ai be-khabar sambhal ki ye rishta kuchh aur hai tahrir aur kuchh hai sar-e-matn-e-zindagi aur hashiye mein hai jo hawala kuchh aur hai har-chand dil dhadakta hai pal pal ghadi ghadi lekin jo aaj dil ko hai dhadka kuchh aur hai itni bhi ehtiyat na kar jaan 'aftab' khadshe kuchh aur hote hain hota kuchh aur hai