jo muhibba-e-wafa hain wo wafa karte hain kuchh gharaz is se nahin koi jafa karte hain khugar-e-dard hain sab kuchh wo saha karte hain dushmanon se nahin matlab ki wo kya karte hain hum jigar tham ke jab aah-e-rasa karte hain ek qayamat mein qayamat hi bapa karte hain chaaragar ka ho bhala kaun rahin-e-minnat hum to khud apni hi zakhmon ko siya karte hain saz ho aish ka ya sur-e-musibat dam-saz ab to har haal mein hum shukr ada karte hain aap sharma gae kyun dekh ke raqs-e-bismil kya kahin tir-e-nazar chal ke khata karte hain aatish-e-ishq-e-watan rakhte hain dil mein raushan apni hi aag mein jal jal ke bujha karte hain har hubab-e-lab-e-ju jalwa-gah-e-hasti hai naqsh ban ban ke zamane se mita karte hain 'shauq' sa banda-e-azad zamane mein kahan aaj sunte hain ki wo yaad-e-khuda karte hain