ghar mein jab betiyan nahin hongi ped par tahniyan nahin hongi gham se samjhauta kar liya dil ne ab yahan siskiyan nahin hun main ki daur-e-jadid ki ladki panw mein bediyan nahin hongi wapsi ka hai sochna be-sud ab jali kashtiyan nahin hongi ab diyon ko bachana wajib hai aandhiyan mehrban nahin hongi barishon ke safar pe nikle ho sar pe ab chhatriyan nahin hongi ye musalsal rahengi mere sath hijr mein chhuttiyan nahin hongi dast-o-bazu bana hai bhai mera koshishen raegan nahin hongi ya qalam tut jaega 'bilqis' ya meri ungliyan nahin hongi