diwar phalang kar aaya By Ghazal << jism-e-be-sar koi bismil ... kis se ahwal kahun apna m... >> diwar phalang kar aaya suraj ka aadha saya nagin ne palat palat kar der talak mujh ko daraya tha koi aur khandar mein jis ne wo charagh jalaya kal shab pagal ho kar wo phir mere tan mein samaya us ke tan ki ret pe kya main ne kuchh khaka banaya Share on: