kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu mil ke aghyar se mujh se hai bezar ki tu na meri baat ko puchhe hai na dekhe hai idhar ek din ye na kiya aashiq-e-bimar ki tu kis tarah se hai bata haal-e-dil ghamin kuchh to kyun mai-e-gham se hai is tarah se sarshaar ki tu roz ba-dida-tar khak basar phirta hai na raha shahar mein ek kucha-o-bazar ki tu wahan hain ja ke jatata hai ye musibat apni aaj tak kul hain dil ko tere zinhaar ki tu sakht bekal hai nikal kucha-e-gham se ab to is qadar kab hai aziyyat ka saza-war ki tu yunhi fariyaad-kunan nara-zanan khak basar hai ek shab aaiyo mere pas-e-diwar ki tu chah mein teri hi duba hai kunen mein gham ke jun zulekha hain yusuf ka talabgar ki tu mera ehsan hai mera aashiq-e-sadiq hai sanam jabki ye bhi na ho main padhun ashaar ki tu