shukr hai ab ke bekali kam hai

shukr hai ab ke bekali kam hai
aaj-kal un se dosti kam hai

sans lene mein dam nikalta hai
in hawaon mein kuchh nami kam hai

tum use zakhm-e-dil dikhate ho
wo jo qatil hai aadmi kam hai

tab bhar us mein hai jalane ki
apne suraj mein raushni kam hai

hum to duniya ko kya se kya kar den
kya karen apni zindagi kam hai

lag raha hai ki wo na aaenge
aaj mahfil mein khalbali kam hai

kaam ke hum bhi aadmi hain ab
aaj-kal hum mein aashiqi kam hai

un se 'azhar' to hum nahin jin mein
sirf surat hai shairi kam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close