diya jo saqi ne saghar-e-mai dikha ke aan ek hamein labaalab agarche mai-kash to hum nae the pa lab pe rakhte hi pi gae sab chalte hain dene ko hum jise dil wo hans ke le le bas ab hamein to yahi hai khwahish yahi tamanna yahi hai maqsad yahi hai matlab kabhi jo aate hain dekhne hum to aap tewri ko hain chadhate jo har-dam aawen to kije khafgi miyan hum aate hain aise kab kab na pi thi hum ne ye mai to jab tak 'nazir' hum mein tha din-o-iman laga labon se wo jam phir to kahan ka din aur kahan ka mazhab