meri wahshat ka tere shahr mein charcha hoga ab mujhe dekh ke shayad tujhe dhoka hoga saf rasta hai chale aao su-e-dida-o-dil aql ki rah se aaoge to phera hoga kaun samjhega bhala husn-e-gurezan ki ada mere isa ne mera haal na puchha hoga wajh-e-be-rangi-e-har-sham-o-sahar kya hogi main ne shayad tujhe har rang mein dekha hoga ab kahin tu hi dubowe hamein ai mauj-e-sarab warna phir shikwa-e-payabi-e-dariya hoga koi tadbir bata ai dil-e-azar-pasand us ko ji-jaan se bhulane mein to arsa hoga husn ki khalwat-e-sada bhi hai sad-bazm-taraaz ishq mahfil mein bhi hoga to akela hoga jhutputa chhaya hai kaun aaya hai darwaze par dekhna 'shaz' koi subh ka bhula hoga