diya nahin hai mujhe chhup-chhupa ke rone tak

diya nahin hai mujhe chhup-chhupa ke rone tak
nazar mein us ne rakhe mere ghar ke kone tak

main kya bataun ki bite hain kya kade mausam
shadid karb se guzra hun sang hone tak

wo raushni ki tarah tez tez chalta hai
guzar na jae kahin aankh mein samone tak

koi karega nahin dekh-bhaal phulon ki
sab ehtimam-e-bahaaran hai bij bone tak

tabah to nahin karta tamam nind meri
mujhe ye dard jagata hai sirf sone tak

kahan wo maslak-e-pakizgi raha 'asim'
hai ab to mashq-e-wuzu dast-o-pa ko dhone tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close