do bhi bose mujhe ek mah mein ai mah na do

do bhi bose mujhe ek mah mein ai mah na do
waza ye kya hai ki naukar rakho tankhwah na do

khush-ada aur to kya tum se tawaqqoa afsos
ek gali bhi mujhe aan ke tum aah na do

be-maza ho ke jo bose bhi diye kya hai maza
wo to ek rah mohabbat se ba-ikrah na do

yaad chashm-e-but-e-maghrur dilae hai mujhe
dosto tum gul-e-nargis mujhe lillah na do

ek khajlat si hai khajlat mujhe ushshaq mein aah
ki sar-anjam hue nala-e-dil khwah na do

ek bhi bosa na do kahte ho phir naz se tum
hum to ek bosa tujhe dewenge ai wah na do

dar kiya band to diwar se aaya 'ehsan'
aise be-rah ko ghar apne mein tum rah na do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close