ek qabile se hain lekin rang-o-naqsha aur hai aur hai kanton ki duniya gul ki duniya aur hai ishtirak-e-fikr ho kaise hamare darmiyan teri khwahish aur hai meri tamanna aur hai aur hi manzar hai duniya ka sar-e-tur-e-nazar chashm-e-dil ke samne lekin tamasha aur hai aarzu ke bahr-o-dariya ki kahani kya kahun is ka sahil aur hai is ka kinara aur hai dekhna tufan mein ghir kar na rah jae kahin nakhuda ye aarzuon ka safina aur hai ab badalna hi padega ye tariq-e-zindagi ab meri jaan surat-e-haalat-e-duniya aur hai dushmanon ka hath is mein hai na yaron ka qusur inqita-e-dosti ka shakhsana aur hai zindagi ke mod par 'shahid' milen phir kis tarah us ka rasta mukhtalif hai mera rasta aur hai