qubul kijiye inkar ka maqam nahin ye jam-e-mai hai pari-wasl ka payam nahin ajib hai ye sarapa kamar ka nam nahin kuchh un ki be-dahni mein mujhe kalam nahin hai kaun shaikh-o-barahman jo dil se ram nahin tumhaara dair se kab ta-haram khiram nahin liya jo mol zulekha ne mah-e-kanan ko kaha jamal ne sahab hun main ghulam nahin bahak na jaun jo pi jaun bahr-e-mai saqi sawari hech hai jab hath mein lagam nahin utha le hath jafa-o-sitam se ai zalim khuda ke pas bhi is se bada salam nahin safen hain jam ki mai-khana apni masjid hai ba-juz sharab ki botal ke yan imam nahin jo ek bosa-e-lab lun hazar shukr karun tere raqib sa main bhi namak-haram nahin main aap karti hun khidmat kaha zulekha ne teri ghulami ke laeq koi ghulam nahin wazifa hai tere husn-o-ada-o-ghamze ka kisi bashar ki zaban par kisi ka nam nahin mere gunahon ko aur kis se bakhshwaun main shafia juz tere ya sayyad-e-anam nahin firaq mein nahin pita main aab tak mai kya ilahi banda tera shaarib-e-mudam nahin chale na jae wo ghar ko usi bahane se suna do mere janaze ko izn-e-am nahin hujum-o-yas-o-alam dil ko mere ghere hain ki muntazir hai jamaat magar imam nahin kab aane pata hai rindon mein nam zahid ka hamari bazm mein bole kabab-e-kham nahin na phul jao 'nasim' un ke phul phenke par gulon ki mehr-o-mohabbat ko kuchh qayam nahin