khala-e-fikr ka ehsas arz-e-fan se mila barahnagi mein naya lutf pairahan se mila qadam qadam pe uge zakhm-e-arzu bhi hazar hazar rang-e-tamasha bhi is chaman se mila badha ke hath kahin uljhanen hi chhin na len wo jam bhi jo mujhe sham-e-anjuman se mila sahar ko be-khili kaliyon mein dhundhti hai kiran jo lutf-e-jalwa lajai hui dulhan se mila usi ke sog mein baitha hua hun muddat se jo ek zakhm rafiqan-e-ham-watan se mila ghuru-e-khush-nazari nazish-e-aqida-o-rang hazar rog usi zom-e-ma-o-man se mila hujum-e-yas mein tahzib-e-nafs ka aahang teri hi narm-khirami ke bankpan se mila wo hausla jo nai rah ki talash mein hai gali gali mein bhatakti hui kiran se mila har ek haal mein jine ka jagmagane ka shauq andheri shab mein sitaron ki anjuman se mila ishaara fikr ko mahmez hashr-parwar ka khata muaf ho tere hi bankpan se mila ab is shuur ko mahsur-e-zat kaise karun shuur zat ki 'zaidi' bade jatan se mila