ye nigah-e-sharm jhuki jhuki ye jabin-e-naz dhuan dhuan mere bas ki ab nahin dastan mera kanpta hai ruwan ruwan ye takhaiyyulat ki zindagi ye tasawwuraat ki bandagi faqat ek fareb-e-khayal par meri zindagi hai rawan dawan mere dil pe naqsh hain aaj tak wo ba-ehtiyat nawazishen wo ghurur o- zabt ayan ayan wo khulus o rabt nihan nihan na safar ba-shart-e-maal hai na talab ba-qaid-e-sawal hai faqat ek seri-e-zauq ko main bhatak raha hun kahan kahan ho tilism-e-alam-e-rang-o-bu ki harim-e-anjum-o-kahkashan mera sath degi nazar meri wo chhupenge ja ke jahan jahan meri khalwaton ki ye jannaten kai bar saj ke ujad gain mujhe barha ye hua guman ki tum aa rahe ho kashan kashan