dost ban kar bhi nahin sath nibhane wala wahi andaz hai zalim ka zamane wala ab use log samajhte hain giraftar mera sakht nadim hai mujhe dam mein lane wala subh-dam chhod gaya nikhat-e-gul ki surat raat ko ghuncha-e-dil mein simat aane wala kya kahen kitne marasim the hamare us se wo jo ek shakhs hai munh pher ke jaane wala tere hote hue aa jati thi sari duniya aaj tanha hun to koi nahin aane wala muntazir kis ka hun tuti hui dahliz pe main kaun aaega yahan kaun hai aane wala kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna hai wahi mujh ko sar-e-dar bhi lane wala main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte hai koi khwab ki tabir batane wala tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho 'faraaz' dost hota nahin har hath milane wala