tha wo jangal ki nagar yaad nahin kya thi wo rahguzar yaad nahin ye khayal aata hai main khush tha bahut kis taraf tha mera ghar yaad nahin kya thi wo shakl pe bholi thi bahut pyara sa nam tha par yaad nahin zakhmon ke phul hain dil mein ab bhi kis ne bakhshe the magar yaad nahin ek ghani chhanw mein din bita hai shab kahan ki thi basar yaad nahin ek lamha to dhadakta hai zarur kai sadiyon ka safar yaad nahin taq the dastan kahne mein 'obaid' ab ba-juz dida-e-tar yaad nahin