dost jitne bhi the mazar mein hain ghaaliban mere intizar mein hain wo na hote mera wajud na tha main na hota wo kis shumar mein hain shakh-e-idrak mein jo kante hain phul banne ke intizar mein hain kya sabab hai ki ek mausam mein kuchh khizan mein hain kuchh bahaar mein hain ek shair bana khuda-e-sukhan jo rasul-e-sukhan the ghaar mein hain khar samjho na tum unhen hargiz sanp ke dant gul ke haar mein hain shimr-o-firaun kab hue marhum un ke ausaf rishte-dar mein hain sab ke sab kawish-e-farishta-khisal aib jitne hain khaksar mein hain