khwab aankhon ki gali chhod ke jaane nikle hum idhar nind ki diwar girane nikle dhul raste ka muqaddar hai to rasta kya hai bas yahi baat zamane ko batane nikle jab pahadon se mili dad hunar ki apne dastan hum bhi samundar ko sunane nikle rang se rang juda hone ka manzar dekha tirgi aur shafaq sirf bahane nikle jab samundar pe chale hum to ye sahra chup the ab pahadi pe khade hain to bulane nikle aasman jis ki zamin hai wo parinda hun main jaane kyun log yahan dam bichhane nikle koi chehra na de aawaz kisi lau se 'matin' sham hote hi charaghon ko bujhane nikle