dost ke shahr mein jab main pahuncha shahr ka manzar achchha tha lal-o-gohar se bhi us ki dahliz ka patthar achchha tha barish dhup ki baat juda thi la-mahdud masafat mein nange sar par jaisa bhi tha gumbad-e-be-dar achchha tha kis lahje kin lafzon mein shahkar-e-azal ki baat karun duniya bhar ke fan-paron se khak ka paikar achchha tha chamak-damak ke makr se nikle karb ke bandhan tut gae sham-e-judai ke mahtab se subh ka akhtar achchha tha jaane kis lalach mein aa kar sar ka saya bech diya meinh mein bhige yaad aaya tinkon ka chhappar achchha tha palkon se har zakhm siya tha ek anjaane mohsin ne sang-zanon ki nagri mein bhi koi rafu-gar achchha tha 'rasikh' sondhi mitti ki aiwanon mein mahkar kahan rauzan rauzan jhank ke dekha kachcha hi ghar achchha tha