puchho na kuchh kate hai ab auqat kis tarah hai ye hi gham ki aaenge wo hat kis tarah 'maruf' se ye main ne jo puchha ki in dinon batla tere guzarte hai auqat kis tarah kahne laga ki rote guzarta hai mujh ko din phir main kaha ki din to hua raat kis tarah bola ki raat waqt-e-mulaqat-e-yar hai puchha jo main ki shakl-e-mulaqat kis tarah bola ki hum ko ek munajat yaad hai main ne kaha sunin wo munajat kis tarah be-ikhtiyar ro ke kaha dil laga kahin kahne ki baat hai ye kahun baat kis tarah