ek gosha-e-dil mein jo kisi ke hain makin hum ye zoam hai goya ki hain wali-e-zamin hum jari hai dilon ka to wahi rabt-e-nihani har-chand kahin aur hain wo aur kahin hum kya hai ye makan kya ye dayar aur ye jahan kya ye auj hai apna ki jahan wo hain wahin hum ye moajaza-e-ishq hai ek zinda haqiqat aate hain nazar aaj jahan bhar mein hamin hum wan apni rasai na sahi dar to hai us ka hote nahin aghyar se yun chin-ba-jabin hum har ek mein nazar aati hain kuchh us ki adaen ulfat na kisi aur se kar baithe kahin hum jo chahe kahe iza de ya kuchh kare tazlil dar chhod ke us ka nahin ja sakte kahin hum parwana-e-jannat hamein dilwate hain kyun aap kah to diya sau bar ki jaenge nahin hum nazzara-e-alam hai bas ek khwab-e-pareshan bedar hue gar nazar aaenge hamin hum duniya mein hai nairangi-e-taqdir tamasha the aabla-pa kal to hain ab takht-nashin hum uff ek dil-e-'rahbar' pe hasinon ki ye takrar lalchaen hamin hum ise pa jaen hamin hum