kahin bhi jaun par mujhko sukun-e-dil nahin milta

kahin bhi jaun par mujh ko sukun-e-dil nahin milta
nahin milta mujhe wo naqsha-e-qatil nahin milta

madad-gar-e-mohabbat the tumhin bahr-e-mohabbat mein
tumhaare baad koi rahbar-e-kaamil nahin milta

tumhaara hi bharosa tha mujhe dushwar rahon mein
ab in rahon mein koi rahraw-e-manzil nahin milta

sawal-e-zindagi mushkil hai par mushkil nahin mushkil
agar mushkil hai mushkil ko hal-e-mushkil nahin milta

hijabana hi surat se tumhaari main sanbhal leta
magar mushkil hai mushkil ko lab-e-sahil nahin milta

hamara raaz-e-dil hi kya na sunte ho na puchhoge
nahin milta tumhaara hi mizaj-e-dil nahin milta

muqaddar ko tere manzur kuchh 'gham' hai to ye hi hai
ki tujh sa is zamane mein koi be-dil nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close