kat kar jo rah ka budha shajar le jaega sath apne dhup ka lamba safar le jaega ek sahra be yaqini ka hai ta-hadd-e-nazar qafila-salar dekhen ab kidhar le jaega apne apne hi gharon ki fikr gar karte rahe dekhna tufan ye sara nagar le jaega be-gharon ki fikr karne ki zarurat hi nahin ek din koi farishta un ko ghar le jaega kaudiyon ke mol bik jaega khud us ka wajud koi jab bazar mein apna hunar le jaega jis ke dil mein koi khwahish koi arman hi nahin sath apne be-baha zad-e-safar le jaega ye khulega mujh pe aakhir meri manzil hai kahan jab junun 'tasir' mujh ko dar-ba-dar le jaega