dosto dil kahin zinhaar na aane pae dil ke hathon koi aazar na aane pae kijiye husn-parasti magar is qaid ke sath pyari surat pe zara pyar na aane pae khana-e-yar ghar aafat ka hai ai rahgiro jism par saya-e-diwar na aane pae ai junun tera zamane mein rahe jab tak daur hosh mein aashiq-e-sarshaar na aane pae aap par uqda-e-nazuk-kamari khul jata ta-kamar gesu-e-khamdar na aane pae chashm-e-mahbub se nargis ko barabar na karo pas bimar ke bimar na aane pae 'bahr' kuchh gham na karo dil ke juda hone ka ab baghal mein ye bad-atwar na aane pae