wo muntazir hain hamare to hum kisi ke hain alamaton mein ye aasar khud-kushi ke hain pas-e-murad bahut khwab hain nigahon mein samundaron mein jazire ye raushni ke hain main apne aap ko dushman ke sarf mein de dun ye mashware to meri jaan wapsi ke hain hujum-e-aks hai aur aaina-sifat hun main so mere jitne bhi dukh hain wo aagahi ke hain kisi qaba ko mayassar hai fakhera hona kisi libas mein paiwand muflisi ke hain main us se dukh ke bhi us ko duaen deti hun ajib rang mohabbat mein dushmani ke hain main jab bhi chahun jabhi us se guftugu kar lun meri ghazal pe ye ehsan shairi ke hain jo shahr-e-sang mein shisha-mizaj hain 'ruhi' wo zimmedar khud apni shikastagi ke hain