dur-andesh marizon ki ye aadat dekhi har taraf dekh liya jab teri surat dekhi aae aur ek nigah-e-khas se phir dekh gae jabki aate hue bimar mein taqat dekhi quwwaten zabt ki har chand sambhaale thin mujhe phir bhi darte hue main ne teri surat dekhi mahfil-e-hashr mein ye kaun hai mir-e-majlis ye to hum ne koi dekhi hui surat dekhi sab ye kahte hain use ab koi aazar nahin kyun sitamgar mere zabt ki quwwat dekhi sone walon pe na chamka kabhi nur-e-sahari rone walon hi ke chehron pe sabahat dekhi is qadar yas bhi hoti hai kahin duniya mein ro diye hum jo teri chashm-e-inayat dekhi mujh ko talim se fursat hi kahan ai 'shabbir' kah liya sher koi jab kabhi fursat dekhi