tere jalwon ke aage himmat-e-sharh-o-bayan rakh di zaban-e-be-nigah rakh di nigah-e-be-zaban rakh di miti jati thi bulbul jalwa-e-gul-ha-e-rangin par chhupa kar kis ne in pardon mein barq-e-ashiyan rakh di niyaz-e-ishq ko samjha hai kya ai waiz-e-nadan hazaron ban gae kabe jabin main ne jahan rakh di qafas ki yaad mein ye iztirab-e-dil maaz-allah ki main ne tod kar ek ek shakh-e-ashiyan rakh di karishme husn ke pinhan the shayad raqs-e-bismil mein bahut kuchh soch kar zalim ne tegh-e-khun-fishan rakh di ilahi kya kiya tu ne ki aalam mein talatum hai ghazab ki ek musht-e-khak zer-e-asman rakh di