KHak par KHun ki tahrir se pahchane gae

khak par khun ki tahrir se pahchane gae
tere wahshi teri zanjir se pahchane gae

apni taswir se mumkin hi na thi apni shanakht
hum kisi aur ki taswir se pahchane gae

jin mein raushan tha teri did ka sauda wo sar
lakh andhere mein bhi shamshir se pahchane gae

kya qayamat hai ki sau bar ke soche hue log
samne aae to takhir se pahchane gae

dost pahchane gae apne nishane se aur
hum bhi sine mein lage tir se pahchane gae

khwab mein to koi chehra hi nahin tha un ka
hain kuchh ek gham ki jo tabir se pahchane gae

khamushi asl mein uslub thi hum jaison ka
hum isi lahja-e-taqrir se pahchane gae

zehn-e-tarik mein be-nam-o-nasab the kuchh dard
jo chamak uthne ki tadbir se pahchane gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close