dua ke sath gaya ikhtiyar bande ka abhi talak nahin utra khumar bande ka ye jawedani haden raste mein padti hain dayar-e-izn nahin hai dayar bande ka rida-e-hijr muhayya karo ki aab-e-khwab teri raza pe hai dar-o-madar bande ka ye narm ghas ye mitti ye aasman-e-khak yahin kahin pe hai parwardigar bande ka hawa-e-sham mein khushbu ajib hai 'jawed' mazar hai isi dariya ke par bande ka