na jab tak dard-e-insan se kisi ko aagahi hogi na paida ishq hoga aur na dil mein raushni hogi wo nikle honge jab sahn-e-chaman mein be-naqab ho kar nazar aakhir nazar hai be-irada uth gai hogi namazi ja rahe hain aaj kyun su-e-sanam-khana bahaar-e-be-khudi shayad wahan bhi aa gai hogi na jaane dekhiye kab tak rahe mashq-e-sitam mujh par kahan tak bekasi meri kisi ki dil-lagi hogi na kar ab tazkira us bazm-e-rindan ke ujadne ka kisi kam-zarf ke aane se mahfil uth gai hogi hamari khamushi kah degi afsana zamane ka tumhaari guftugu mohtaj-e-sharh-e-zindagi hogi khulega raaz tera 'zabt' us din un ki mahfil mein ki jab dil ki kahani aansuon mein dhal gai hogi