kabhi yun bhi karo shahr-e-guman tak le chalo mujh ko jahan tak raushni hai tum wahan tak le chalo mujh ko bhatakta ja raha hun rah-rau milta nahin koi ghubar-e-rah mere karwan tak le chalo mujh ko gham-e-awargi se main shikasta hota jata hun parindo tum hi apne aashiyan tak le chalo mujh ko khamoshi jhel li main ne rihai ki ghadi aai sukhan ke waste lafz-o-bayan tak le chalo mujh ko kisi tabir ki manzil se ya to aashna kar do nahin to phir usi khwab-e-giran tak le chalo mujh ko 'taraaz' ab to tahaffuz ki koi surat nahin milti mere rahbar kisi ja-e-aman tak le chalo mujh ko