faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan mere liye ek bala-e-hasan sham-e-ghariban ke barabar kahan mazhab-e-ushshaq mein subh-e-watan aah wo ghaarat-gar-e-sabr-o-shakeb silsila-e-zulf shikan dar shikan fitna-e-jaan wo sukhan-e-dil-pazir dushman-e-din wo nigah-e-sahar-fan jalwa-e-jaanan se hai dar-us-surur khana-e-jaan ab nahin bait-ul-huzn mehr o murawwat se tumhein wasta ye bhi harifon ka hai ek husn-e-zan jab se kaha ishq ne 'hasrat' mujhe koi bhi kahta nahin fazl-ul-hasan